Karm Bada ya Bhagya(Luck)
Karm bada hai ya Bhagya ye sawal ya question bahot logo ke mind me kabhi na kabhi aata hoga par jawab sayad hi mil pata hoga . Darasal ye dono bate aapas me itni judi hui hain ki janna thoda muskil ho jata hai .
Par har qeustion ka ek solution hota hai . isliye iska bhi jawab hai ki koun bada hai aur kaun chota . Isko janne se pahle hame in dono ke bare me janna jyada sahi aur uchit hoga .
Karm Kya Hai ?
Karm to sabse upar ki cheej hai , kyuki iske bina koi kary ya work nahi ho sakta . Tabhi to kaha gaya hai ki "कर्म ही पूजा है .."
Agar ham apna karm karte hain to hame koi tension ya chinta karne ki jarurat nahi honi chahiye kyuki jab ham kuch karenge tabi to hame kuch milega . Agar ham kuch karna ya fir banna chahte hain aur karte nahi to ham success ya safal nahi ho pate hain . So karm to karna hi padega tabi baat banegi.
Atah karya karne ko hi karm kaha jata hai .waise to Karm kai type ya prakar ke hote hain magar mukhyatah do prakar ke
hote hain >>>* Sukarm ( Accha karm )
* Duskarm ( Bad ya Bura Karm )
Duskarm me kukarm aata hai jo behad bura hota hai . Iski wajah se maan - samman ko bahut thes pahuchti hai . Hame kewal sukarm hi karne ki koshish karni chahia .Kyuki ham jaisa kary karenge hame waisa hi result ya parinam milega .
Isi ko kahte hai jaise karm waisa result ya prinam. Ham accha kaam karenge to hame sukarmy kaha jayega aur hamare iss work ya kaam ko Sukarm kaha jayega . Aur agar ham bura kaam karenge to duskarmy kaha jayega .
📝 बीजगणितीय संख्याओं ( abc, xyz आदि ) में बीजगणितीय संख्या से कैसे भाग करें ? ❓
Kya Karm se Kuch Bhi Hashil Kiya Ja Sakta Hai ?
Karm se kuch bhi hashil kiya jaa sakta hai , ye baat bilkul right ya sahi hai . Jitna bada kaam utna hi bada karm karna padta hai . Kaha jata hai ki jab Yamraaj , Mata Sati Savitri ke patidev ka praan lekar jaa rahe the to Sati Savitri ne unhe jane nahi diya aur unhe apne pati ka praan wapas
kar dene ke liye majboor kar diya aur haar maan kar .Yamraaj ko praan wapas karna hi pada .
Yaha par Sati ne karm kiya warna kabhi bhi wo apne pati ka praan nahi wapas le pati . Unhono ( sati ) karm kiya aur unka bhaya barh gaya jisse wo iss kaam me success ya safal ho gayi .Isse to ye baat sahi sabit ho jati hai ki Karm se kuch bhi hashil kiya jaa sakta hai . Iss katha se ek baat ye bhi sabit ho jati hai ki karm ke aage to bhagwan ko bhi jhukaya jaa sakta .
Par iske liye hamare karm me utni hi shakti honi chahiye .Bhagya( Luck ) Kya hai ?
Bhagya , karm ka friendly hota hai kyuki jaisa karm hota hai waisa hi Bhagya ya Luck bhi hota hai . Maanlo ki aapne accha kaam kiya to aapka bhagya bhi accha hi hoga aur agar bura kaam kiya hai to bhagya bhi bura hi hoga . Issi liye to kaha gaya hai >>
" जैसी करनी वैसी भरनी"
Karm ke anusar bhagya ya luck ko bhi mukhyatah do shakha me divide kiya gaya hai >>
* Good luck ya Accha bhagya
* Bad luck ya Bura bhagya
Karm aur Bhagya( luck ) me Different ( anter )
Karm se bhagya banaya ja sakta hai aur bhagy se bhi karm kiya jaa sakta hai . Karm ka dusra rup hi bhagya kahlata hai.
Karm aur bhagya ek hi sikke ke do pahlu hain.Issiliye ye dono ek sath chalte hain . Yani jaha bhagya wahi karm ya jaha karm wahi bhagya hota hai .
Agar aapka karm accha aur bhagya thoda kharab hai to bhi aapka kaam jaise - taise ban hi jaata hai . Aur agar bhagya accha hai aur karm bura to bhi aapka jaise - taise kaam ban hi jata hai , agar dono hi kharab hai to aapka kaam to kabhi nahi bann sakta hai . Jaise manlo aap hamesha
satay bolte hain to aap agar kabhi jhooth bolenge to bhi isse log satya ya sahi maan lenge . Kyuki aap pe logo ka viswas hai ki aap hamesha sahi aur satya bolte hain . Iske theek ulta agar aap roj jhooth bolte hain aur kabhi sahi bolenge to log iss baat par viswash nahi karenge . Kyuki aapne jo jhooth bola tha wo ab bad luck ka rup lekar aapko fasa dega chahe kaisi bhi stithi me kyu na ho .
Isko clear karne ke liye ham ek chota sa example le rahe hain . Kisi gaaw me ek bhedhi charane wala ladka tha jo roj apni bhedhiya charata tha . Village ya gaaw jungle ke paas tha isliye waha lion(sher) aksar aa jaya karte the . Issi baat ko lekar usne joke ya entertaiment (manoranjan) karne ki yojna banayi . Bhedhi charane wala ladka chillaya ki bachawo koi meri bhediwo ko iss lion se
Ye sunkar gaaw wale waha turant pahuch gaye aur dekha ki koi lion(sher) nahi tha . Tab ladke se pucha ki shre kaha hai to ladke ne kaha ki lion bhag gaya . Ye sunkar gaaw wale wapas laut aaye kyuki ye pahli baar tha . Lekin ladak nahi maana usne aisa kai baar aisa kiya jo use nahi karna chahiye tha.Iss baat ko gaaw wale log jaan chuke the ki wo ladka jhooth bol raha tha .
Lekin ek din realy(sachmuch) me lion aa gaya to ladke ne fir gaa walo ko bulaya to gaaw wale ye sochkar nahi aaye ki iss baar bhi ye
ladka jhooth bol raha hai . At last ant me ladke ko iska parinaam bhugtna pada apni life(jaan) ko dekar . Issi ko kahte hain "jaisi karni waisi bharni " . Isse ye pata chalta hai ki karm main bhumika nibhata hai . Kahne ka matlab yeh hai ki karm ka parinaam hi bhagya hota hai.
Kaam Kyu Nahi Banta
Hamara kaam kyu nahi banata iss question ka bahut hi simple answer hai . Kaam ka pura hona ya banna ye jyadatar hamare Karm pe depend karta hai kyuki ham aksar adhura kaam hi karte hain yani ki ham kaam ko beech me tang hokar ya kisi wajah se chod dete hain . Agar kaam pura nahi hoga to bhagya kaise pura hoga . Ham bura ya galat kaam karte hain to hamara bhagya(luck) sath nahi deta kyuki wo aisa karne me lachar ho jata hai . Jaisa ki hamne upar bataya tha ki jaisa karm hoga waisa hi bhagya bhi hoga .
So clear hai ki jab karm accha hoga to bhagya bhi accha aur jab karm bura hoga to bhagya bhi bura hi hoga . Isme koi gunjais nahi hai ki bhagya accha ho . Kabhi - kabhi ye bhi hota hai ki hamne pahle koi bura karm kiya ho to wo karm hamare life me save ho jata hai aur yhi bura karm bure bhagy me badal jata hai . Aise me ham agar koi accha kaam bhi karte hain to bhi ham success ya safal nahi hote hai . Aur ham yehi sochte hain ki hamne to kaam ko puri tarh se kiya hua tha fir bhi kyu nahi pura hua . Lekin hamko baad me ye ahsaas hota hai ki hamne koi galat karm ya kaam kiya tha isliy aisa hua .
Kya Karm Bhi Add Hota Hai ?
Jaise ham apne life ke liye money ya paisa earn(kamana) karte hain waise hi ham apni life ke liye Karm kamate hain. Ab question ye hai ki ham kaise iska use ya upyog karte hain . Manlo hamne koi accha kaam pahle kiya tha jo hamare account(life account) me add ho jata hai .
Ab aage jab ham koi aur accha kaam karte hain aur koi muskil ya problems aati hai to hame wo karm jo kiya hua tha wo ab hame bhagya ke rup me milta hai . Jaisa ki hamne upar bataya hai ki bhedhi charane wala ladak roj jhooth bolta tha ki lion aa gaya .To uske aisa karne par uska bad - luck bann jata hai . Aur jab wo sahi bolta hai tab bhi
uski baat koi sahi nahi manta hai . Jiski us(boy) ko bahut bari kimat chukani pari . Use uski karm ka pura hisaab mil gaya . Jaise ki kisi bank account me jama kiye hue dhann ya money pe extra balance jodkar milta .
Iske biprit agar ham koi bura kaam karne jaa rahe hain to hamara ye bhgya nahi kaam aata . Darasal hota kya hai ki jab ham bura kaam kar rahe hote hain to usi samay ya time hamare liye ek bad luck ka nirmaan hone lagta hai aur yehi bad luck hamare good luck ko khatam kar deta hai. Ya u kahiye ki "bad luck " aur " good luck " dono milakar hamare luck ko disactive kar dete hain .
Agar hamara good luck jyada hai bad luck ki tulna me to ham jaise - taise safal ya success ho jate hain . Agar bad luck jyada ho good luck ki tulna me to kaam ka banna bahut had tak imposible ya asambhaw sa ho jata hai .
Upar ke explanation se ye result nikalta hai ki na to karm chota hota hai aur na hi bhagya . Kyuki ye dono hi ek sikke ke do pahalu ki tarah hain .Hamare life me in dono ka hoga bahut jaruri hota hai .Par ek baat saaf hai ki pahla number Karm ka hi aata hai . So Karm bahut special hai .
Note : -
Agar ham kisi kaam me safal nahi hote hain to iska main karan hamara bad luck hi hota hai jo hamare karm se hi banta hai . Isliye karya ko pura hamesha hi karna chahiye . Ho sakta hai ki hamara bad - luck jyada ho isiliye hi ham nahi safal hote ho . Sabse pahle hame in bad - luck ko finish ya clear(khatam) karna hoga tabhi koi kaam bann paayega .
0 टिप्पणियाँ