Hi Students Exam ka time ho ya nahi par square karne ki jarurat hamesha parati hai. Square yani warg karne ki upyogita kaam karne me bhi jyada mahatwa rakhti hai. Man lo aap kisi kaam ko karne ja rahe ho aur usme apko square pata karna ho aur apke paas copy kalam, calculator, ya mobile na ho to aap kya secondo me square kar pawoge nahi na. Lekin is post ko dhyan se read ya parne ke baad jarur kar pawoge.
Math ek aisa subject hai jo lagbhag har student ko paresan karta hai Darasal( दरसल) Math me bahut hi jyada guna( गुणाा) , bhag (भाग) , jod (जोड) , ghatana( घटाना) hote hain jisko hal karne me yada time lagta hai aur students jyada time ekhi question me kho dete hain .
Math me bahut se square (वर्ग) diya hota hai jise koi bhi student binacopy aur kalam ke hal nahi kar pata aur isme hamko 1 se 2 minute lag jate hain , lekin agar apke paas itna samay nahi mila to aap us questio ko hal nahi kar pate ho .
Ham ek aisa tarika lekar aaye hain jiski madat se aap 5 se 10 second me hi wo square kar sakte hain jisko aap 1 se 2 minute hal karne me lagate the . Aur haa ek khas bat ye bhi ha ki isme aap bina copy aur kalam ke square kar sakte hain.
Ye Rule(नियम) Kyu Khas Hai ?
Ye rule ya niyam khas isliye hai ki iski help se Interviwe ho ya कम्पटीशन exam aap dono me asani se aise questions ka answer de sakto hain aur jyada time bhi nahi lagta isse aapki bahut help hogi aur interviwe lene wala aapse bahut impress hoga to aise aap iski help se apna kaam easy bana sakte ho.
Kaise Kaam Karta hai Ye Formula Ya Niyam
Formula ka niyam is prakar hai -
- Jis sankhya ( number ) ka square ( वर्ग ) करना है, उसमें एक ऐसी संख्या जोड़ या घटाकर देखो कि अन्तिम संख्या यानी इकाई वाली संख्या शून्य आये।
- जोड़ने या घटाने वाली संख्या छोटी से छोटी होनी चाहिए। जैसे - अगर हमें 18 का वर्ग करना है तो इसमें सबसे छोटी से छोटी संख्या जो इकाई के स्थान ( यहाँ पर इकाई के स्थान पर 8 है ) को शून्य कर दे वह 2 है।
- अब इस संख्या को एक में जोड़ तथा दूसरे में घटा देते हैं।
- इसके बाद इसी संख्या का जोड़कर वर्ग कर देते हैं।
- अन्त में सभी को हल कर लेते हैं।
सूत्र ( Formula )
A × A = ( A + b ) × ( A - b ) + b × bया A2 = ( A + b ) × ( A - b ) + b2
इस सूत्र में,
A = wo sakhya hai jiska square karna hai, aur
b = wo snakhya hai jiski help se square karna hai so isliye pess hai ek square ka Example >>
Manlo hame 39 ka squar karna hai to hame kewal itna karna hai ki
A = 39
b = 1
rakhne par
39 × 39 = ( 39 + 1 ) × ( 39 - 1 ) + 1 × 1
या 392 = 40 × 38 + 1
392 = 1520 + 1
392= 1521
jiska ham asani se guna kar dete hain.
hamne 39 me se 1 isliye gataya aur joda hai kyuki sankhya 39 se 40 ? ho jaye aur 1 ka square ham asani se kar sakte hai ,ham 1 ki jagah agar 2 ya koi ,aur sankhya use karte to hame koi fayda nahi hota kyuki b jitna chota hoga square utni hi asani se hoga.
Is formule me choti - se choti sankhya lete hain taki ham calculation (गणना) asani se kar sake aur ek baat isme kewal wo sankhya hi jode jo last waale nunumb ya sankhya zero kar de jaisa ki is example me 1 joda gaya hai.
So use kare aur jarur share kare aise hi math ke trick janne ke liye aap hame follow kare jisse aapko fresh aur intresting trick turant hi mil sake ya hsme facebook par follow kare hamara facebook address " @possibilityplus.in " hai .