Jab kabi hame kisi jaruri kaam ke liye jald se jald jagna hota hai to ham ya to alarm ki help lete hain ya fir kisi se ye kahte hain ki hame us time me jagna hai to hame jaga dena.Agar wo person bhi time par nahi jaag paya to aapka to wo jaruri kaam nahi ho pata hai . Agar aap alarm ka use kar rahe ho to aapne dekha hoga ki aap aksar hi sahi time pe nahi jaag pate ho aur is alarm ki wajah se aur log pareshan bhi hote honge .
Ya manle ki aap iske pahli wali
raat ko jyada na soye ho aur aaj ki raat ko bhi hame jyada nahi sona hai to is dasa me to aapka jagna aur bhi muskil ho jata hai . Isi problem ko ham solve karne ki koshish kar rahe hain is article ki help se kaise ye janne ke liye ye post acche se read karo .
Ham Sahi Time Me Kyu Nahi Jaag Pate
Ham sahi time me nahi jaag pate hain iski kai wajah hoti hai magar ek wajah aisi hai jo important hai jo hame sahi time me jaga sakti hai aur wo hamari positive aur drid( दृढ ) soch hai . Agar ham ye drid kar le ki hame us time me jarur jaagna hai to ham us time me jarur jaag jate hain .Ye hamari soch par nirbhar karta hai ki ham kitna drid hain us sahi time me jagne ke liye. Agar ham drid nishchay se ye nahi karpate hain to ham us time se thoda sa fark ho jata hai yani ki ham sahi time par nahi jaag pate hain .
Sahi Time Par Kaise Jage ?
Ham aapko sahi time par jagne ke liye ek Example dene ja rahe hain ummid hai apko pasand ayega ise acche se read karlo aur aise hi karo to ham apko ye kah sakte hain ki aap us time par lagbhag 100% jaag jawoge jis time par jagna chahte ho .
Ab example dekte hain manlo A ko marning ke 4 : 00 am ko hi jagna hai to [ yaha wo person hai jo A 4 : 00 am ko jagna chahta hai. ] A ko ye baat sote samya ya time par clear karna hai ki use 4 :00 am ko jagna hai to jagna hai [ agar wo ise mann me (मन मे) dridrup 5 se 10 baar soch le to "A" 4 : 00 am ko hi jagta hai na ki anya time par ] to wo clear hai ki usi time par jaag jata . Mai itna confident se kyu kah raha hu ye janna bhi jaruir hai .Darasal maine ise check kiya hua hai aur ek do baar nahi bahut baar check kiya aur har baar ye sahi sabit hua hai tab jakar mai ye jankari share kar raha hu jiska koi bhi use kar sakta hai
.Aisa Kya Hota Hai Hamare Body Me Ki Ham Manchahe Time Par Jaag Jate Hain
Manaw body ( मनुष्य शरिर ) me aisi hi bahut si energy ya tools hoti hai jaise ki hamare samartphone me tarah tarah ke tools hote hain jinki help se ham apnelife ko aasan banate hain . Jaise ham apne mobile me alarm lagane ke liye alarm ko active karte hain aur time set karte hain usi prakar hame apne body me bhi time set karne ki jarurat hoti hai. Jab ham ye दृढरूप se tay karlete hain ki home 4 : 00 am ya 5 : 00 am ya koi bhi time ko jagna hai to hamare body me iska alarm active ho jata hai jo hame usi time par jaga deta hai .
0 टिप्पणियाँ